Namaskar dosto! Aaj hum baat karenge Aaj Ka Panchang ki – jo hamare purvajo ka bana hua ek aisa shashtriya kalendari hai jo na sirf din, mahine aur saal ko track karta hai, balki hamare jeevan par gehna prabhav daalta hai. Panchang ko samajhna aaj ke daur mein bhi utna hi zaroori hai, kyunki isme chhupa hai grahon ka raaz, shubh-ashubh samay ka gyaan, aur jeevan ko behtar banane ke upay.
तिथि (Tithi)
नक्षत्र (Nakshatra)
योग (Yoga)
करण (Karana)
राशि (Rashi)
Moon Rashi:
Sun Rashi:
वार (Vaar / Day)
शुभ मुहूर्त (Auspicious Timings)
Abhijit Muhurat:
Amrit Kaal:
अशुभ मुहूर्त (Inauspicious Timings)
Rahu Kaal:
Gulika Kaal:
Yamaganda:
सूर्योदय/सूर्यास्त (Sunrise/Sunset)
Sunrise:
Sunset:
चौघड़िया (Choghadiya)
Choghadiya are auspicious and inauspicious time segments, calculated based on Sunrise and Sunset. They are used for finding suitable timings for starting new ventures or travel.
Day Choghadiya
Night Choghadiya
Aaj Ka Panchang Kya Hai?
Panchang Sanskrit ke do shabdon se mila hai – Panch (paanch) aur Ang (hissa). Yani, paanch hisson se bana hua ek granth. Ye paanch hisse hain:
- Tithi – Chandrama ke hisaab se din.
- Vaar – Saptah ke saat din (Ravivaar, Somvaar, etc.).
- Nakshatra – Chandrama ke 27 sthan.
- Yoga – Suraj aur Chandrama ke beech ka kona.
- Karan – Tithi ka aadha hissa.
In sab ko milakar Panchang banta hai, jo har din ke liye shubh aur ashubh samay batata hai.
Aaj Ka Panchang Ka Hamare Jeevan Par Prabhav
Panchang sirf ek calendar nahi hai, balki ek margdarshak bhi hai. Iska upyog vivah, grih pravesh, naukri shuru karne, yatra, aur anya mahatvapurn karyaon ke liye kiya jata hai. Lekin iska prabhav positive bhi ho sakta hai aur negative bhi – ye hum par nirbhar karta hai ki hum iska upyog kaise karte hain.
Positive Prabhav (Fayde)
- Shubh Muhurta Chayan – Panhang ke hisaab se shubh samay mein koi bada kaam shuru karna safalta deta hai. Jaise, kisi ne apna business shubh muhurat mein shuru kiya, toh usme kamiyabi milti hai.
Shloka:
“Karyeshu mantri, Kaleshu mitram, Bhojeshu mata, Shayaneshu rambha, Rupeshu Lakshmi, Kshamayeshu dharitri.”
(Har kaam ke liye sahi samay chunna chahiye.) - Grah Dosh Se Bachav – Panchang grahon ki sthiti ko dekhte hue bata deta hai ki aaj ka din kaisa rahega. Agar Mangal (Mars) kamzor hai, toh koi naya kaam shuru karne se bach sakte hain.
- Dinacharya Sudhar – Subah Brahma Muhurat (4-6 AM) mein uthkar puja-paath karna swasthya ke liye achha hota hai.
Negative Prabhav (Nuksan)
- Andhvishwas – Kuch log har chhoti-badi cheez ke liye Panchang dekhne lagte hain, jo galat hai. Agar aaj ka din ashubh hai, toh ye mat samjho ki kuch nahi kar sakte. Bhagwan Krishna ne Gita mein kaha hai:
“Karmanye vadhikaraste, Ma phaleshu kadachana.”
(Karam karo, fal ki chinta mat karo.) - Vyavasayik Nuksan – Agar koi businessman har roz Panchang dekhkar business band rakhe, toh uska nuksan ho sakta hai.
- Manovikaar – Jyada Panchang par nirbhar rahne se dar badhta hai. Kisi ne ek baar ek shubh din ka intezaar kiya aur apni beti ki shadi late kar di, jisse rishte mein problem aa gayi.
Aaj Ka Panchang Ka Sahi Upyog Kaise Kare?
- Bade Karyon Ke Liye Dekhe – Vivah, naya ghar, naukri shuru karne jaise kaam ke liye Panchang dekhna sahi hai.
- Din Bhar Ke Kaam Mein Andhvishwas Na Kare – Roz ke chhote kaam jaise gaadi chalana, market jaana, mobile khareedna, inme Panchang ki jaroorat nahi.
- Astrologer Se Salah Le – Agar koi grah dosh ya manglik dosh hai, toh kisi achhe jyotishi se baat karein.
Antim Baat
Aaj Ka Panchang ek guide hai, rulebook nahi. Iska sahajta se upyog karein, lekin ispar itna bharosa na karein ki apni buddhi ka upyog hi band kar dein. Jeevan mein balance rakhna zaroori hai – na sirf shashtra par chalein, na sirf apni marzi se.
“Kal kare so aaj kar, aaj kare so ab”
Parantu, sahi samay ka intzaar bhi zaroori hai.
Aapki,
Rajni Sharma